Koi to ho aisa
jo sirf mera ho...
Mango jo jaan to jaan de dein-ge
apna jo bana loge
to jahaan hum de dein-ge
Baton mei uski khushbu ho
Dil mei uske basera ho
Khushboo aisee ayyegee
hamaare labon ke alfaazon se
jo dfil to kya
aatma mein bas jaayegee
Chahe to chahat meri
Chahe to chahat meri
mange to mohabbat meri
teri chaahat chaahne wala to koee
khudgarz hee hoga
teri mohabbat maangande wala
koee bhikharee se kum kya hoga
Hum to woh hain
jo chaahat teri ban jaayenge
maahoul aisa banaa dein-ge
ki
bin maage hi mohabbat teri paayenge
Wo chand ki chandni ho to
Chand sirf mera ho
Chand ki Chandani
Chand ki Chandani
to sooraj se liya udhaar hai
RAVI yaani SOORAJ hoon main
jo sirf tera pyaar hai
Wo din ki roshni ho to
Wo din ki roshni ho to
Suraj sirf mera ho
Din kee roshni to mujha se yaani
Din kee roshni to mujha se yaani
sooraj sde hoti hee hai
per ik baat yeh bhee hai
ki
Roshnee hi roshnee ho jaayegi
bus
"Ishq ko dil main basaa ke dekhiye"
Wo phulon ki khushbu ho to
Ehsas sirf mera ho
khusboo hone se ehsaas ki kya zaroorat hai
khusboo hone se ehsaas ki kya zaroorat hai
khud ba khud naak main, nas nas main bas
jaayege
maza to tab aata hai
jab..kuch bhee na ho
aue ehsaas ho jaaye
Wo raat ka ujala ho to
Wo raat ka ujala ho to
Chiragh sirf mera ho
raat ke ujaale main
raat ke ujaale main
chiraag kya dega...
zara sa hawa ka zhonka
us-ko bujha dega
hum jugnoon hain
jise na tel na baati chaahiye
hawa ke zhonke
hamain bujha na sakain
managna hee hai agar KHUDA se
tomaang lo hum ko
jeewan jag-mag...jag-mag ho jaayega
Wo ishq or mohabbat ho to
Dil sirf mera ho
Dil kya khaak ishq jkarega
jo pal mein toot jaata hai
ishq mohabbat...roohaaniyat ka
asal main
aatma se naata hai
Wo pani ka cheenta ho to
Dariya sirf mera ho
jal mein
MEEN pyasee..
mujhe dekh ke aawat haassi
katra-katra jal dariya ban jaata hai
katra-katra jal dariya ban jaata hai
jo samander mein sama ker khaare paani
kehlaate hai
kisi ki pyaas naheen bujha paata hai
pyaar karna ho
chaahat paalni ho
to "OO-S" ki paalo
kisi ne kahahai
boond jo ban gayee moti
woh oo-s kee boond
gar mil jaaye
to saara saagar
bhee
uske aage
nagganyein hai
Wo kismat ki lakeer ho t
oWo kismat ki lakeer ho t
Haath sirf mera ho.
Koi to ho asa....
haathon ki kakeeron mein
koee taqdeer kya likkega
hum woh hein jo apni marzi se
lakeerein bana sakte hain
VIKRMADITYA' ki terha
likhee lakeeron ko mitaa sakte hain
apani taqdeer khud banaa sakte hain
tum-ne haath hee maanga hai
saara ka saara zism
tum pe luta sakte hain
No comments:
Post a Comment