Tuesday, February 15, 2011

AATAM-BODH


Patangain ud rahee theen
haan...patangain ud rahee theen
kaali, neeli, peeli, laal
haree, zaamunee aur narangee

ki pakshi jaa rahe th-e
hamein yoon bata rahe th-e

yeh zindgee
choti cee hai
aakhir sabhee ne jaana

Is duniyan mein...Is ghar mein
Is gaanv mein...nagar mein
'TANPUR' mein
naheen hai 
kisee ka bhee 
pakka thikaana

Patangain ud rahee theen
woh jyoon bataa rahee theen
yoon hi AATMA ud jaayegi,
us deep mein mil jaayegi
banaaya jis-ne sab-ko hai
ki milna jis-mein sab-ko hai

ki pakshi jaa rahe th-e
woh yoon bata rahe th-e

aaj yahaan-kal wahaan
rehna kis-ko hai yahan
Kshan-bhangur hai jahan

Patangain ud rahee theen
ki pakshi jaa rahe th-e

No comments:

Post a Comment