Wednesday, February 16, 2011

jo chhaaho..... kya woh ho jaata hai... mil jaata hai....


jo chhaaho.....
kya woh 
ho jaata hai...
mil jaata hai....

chaahne-na-chaahne 
se kuch naheen hota

jo 
mil jaaye.....
jo 
mukqaddar mein hai
use 
kabool kar lena....


apni 
izzat ke liye 
ladne kee 
zaroorat naheen

log 
izzat denge 
agar 
tumhein 
izzat ke 
kaabil paayenge


lad kar 
tum.....  
kisi ke dil mein 
izzat paida 
naheen ker saktee

ladna  to .....
rape hai.....
blaatkaar hai.....

blaat...kaar   
yaani 
woh  kaam 
jo zabardastee 
kiya jaaye 
woh 
blaatkaar hee hai 

aur 
jo kaam 
zabardasti 
karwaya jaaye 
woh bhee to 
blaatkaar hee hua

Tuesday, February 15, 2011

RISHTA TO RISHTA HAI


RISHTA........
APNE AAP MEIN IK NAAM HAI...
IS PER ....
AITRAAZ KARNA
AUR
NAYAA NAAM TALAASAHNA
RISHTE KI TOHEEN HOGI....

RISHTON KI
TIZAARAT KARNE WAALE
AISI
BEHOODA HARKATEIN
KIYA KARTE HAIN


IK DOOSRI SOCH.....
RISHTON KO
NAAM KE BANDHAN MEIN
MAT BAANDHO YAARO..........
RISHTA TO RISHTA HAI..
CHAAHE JIS NAAM SE
PUKAARO YAARO

AATAM-BODH


Patangain ud rahee theen
haan...patangain ud rahee theen
kaali, neeli, peeli, laal
haree, zaamunee aur narangee

ki pakshi jaa rahe th-e
hamein yoon bata rahe th-e

yeh zindgee
choti cee hai
aakhir sabhee ne jaana

Is duniyan mein...Is ghar mein
Is gaanv mein...nagar mein
'TANPUR' mein
naheen hai 
kisee ka bhee 
pakka thikaana

Patangain ud rahee theen
woh jyoon bataa rahee theen
yoon hi AATMA ud jaayegi,
us deep mein mil jaayegi
banaaya jis-ne sab-ko hai
ki milna jis-mein sab-ko hai

ki pakshi jaa rahe th-e
woh yoon bata rahe th-e

aaj yahaan-kal wahaan
rehna kis-ko hai yahan
Kshan-bhangur hai jahan

Patangain ud rahee theen
ki pakshi jaa rahe th-e