Saturday, December 4, 2010

Sazda

Sazde ke liye uthta hai ya dast hazaar baar…
Par soch ke raj=h jata hoon……….
Kis ko karoon Salam….

Unke aane ka guman sa hota hai na jane kitni baar..
Par sochta hoon har baar…..
Shayad haseen khawab na ho…….

Mani then manntain jo unke ehle karam kee.
Ab to hai yahi iltza….
Ki who khuda ko na yaad hon.
Hai gardishe ayyam kuch raas yoon aya …..
Ab to hai yahi arzoo ki aur koe mukam na ho……….

Ummidon ki lash pe hai khadi…….
Zar zare zindgi….
Hai kaun is ka wali……..
Na maloom kab rooh fana ho.

Jaddo jahad kya kare ‘GHAYAL’ ab maut se.
Jab sham dhal chuki hai.
To kyoon na raat ho.

No comments:

Post a Comment