Friday, January 7, 2011

JAB SAANJH DHAL CHUKI HAI to kyoon na raat ho

Sazde ke liye uthta hai yeh dast hazar bar
per soch ke ruk jate hoon
kisko karoon salam

un ke aane ka guman sa hota hai
na jane kitni bar

par sochta hoon
shayad haseen khwab na ho

mani theen manntain
jo un-ke eh-le-karam keen
ab to hai yahi aarzoo
woh khuda ko na yaad hon

hai gardishe ayyam kuch raas yoon ayya
ab to hai yahi iltza
ab aur koe kukam na ho

umeedon ki lash pe hai khadi zar-zar-e zindgi
hai kaun is-ka wali
na maloom kab rooh fana ho

zadd-jahad kya kre 'GHayal' AB MAUT SE
JAB SAANJH DHAL CHUKI HAI
kyoon na raat ho

No comments:

Post a Comment